Mere Fauji Saathiyon,
Fauji zindagi sab se alag hai. Is mein ham apni jaan ki baazi laga kar desh ki sewa karte hain. Senaon ko yuva rakhneke liye ham faujion ko kam umar mein ghar bhej diya jata hai. Us waqt hamari salary kam hoti hai jis ki wajah sehamari pension bhi kam hoti hai. Is ke ilawa jab bhi vetan aayog pension mein badhotri karte hain, is ka laabhpurane pensioners ko nahin diya jaata. Purane pensioners ko guzara karna mushkil padta hai.Retirement ke baad hamein aur bahut samasyaon ka saamna karna padta hai. Sankshep mein, ham ko nyaya nahinmilta hai. Hamare paas koi aisa channel bhi nahin tha jo hamari awaz ko aage tak pahuncha sake. Isi zaroorat kodhyan mein rakhte huye 2008 mein Indian Ex Servicemen Movement (IESM) ki shurooat ki gayee. Yeh ek aisa platformhai jis se ham apni awaz desh-wasion tak pahuncha sakte hain. Pichhle do saalon mein IESM ham sab ki maangon kosarkar ke saamne aur janta ke saamne rakhne mein kamyaab hua hai. Hamari sab se pehli maang ‘One Rank OnePension’ (OROP) hai. Is ka adhaar hai ki do fauzi jin ki service barabar hai aur jin ka rank bhi ek hai, unko ek samaanpension milni chahiye. Aisa abhi nahin ho raha hai. Aap sab ne jo abhiyaan chalaya hai us ki wajah se aaj desh meinsab ko OROP ka gyaan hai aur hamare saath hamdardi bhi hai. Dabaav mein aakar Sarkar ne purane aur naye pen-sioners ke beech ka gap kam to kiya hai lekin ham chahte hain ki gap ho hi nahin. Hamari maang barabari ke liye hai. Badkismati se ham purane faujion mein ekta ki kami hai. Ham ne alag alag sangathan bana rakhe hain. Achhi baat yeh hai ke OROP ke maamlemein sab ki manzil ek hai; kewal raaste alag hain. IESM ek aasman ki tarah hai jis ke neeche har rang ki chhatri sama sakti hai. Meri yeh sabsaathiyon se vinti hai ke ham ikatthe ho jaayen. Prajatantra mein nafri hi sab se bara hathiyar hai. Agar ham ek-jut ho kar aage badhen to koi bhisarkar hamari awaz ko nahin daba sake gi.Mein sabhi saathyon se sahyaog aur sabar ki request karta hoon. Ham apna abhiyaan kanoon aur discipline ke andar rahte huye chalaayenge. Jai Hind
Lt Gen Raj Kadyan
Chairman IESM
Indian Ex Servicemen Movement Newsletter March 2011 Khabarnama
IESM Newsletter- click here
Ēḍajuṭēṇṭa janarala śākhā mēṁ vayōvrd'dha sēla
Yaha batāyā gayā hai ki ēka bujurga sēla kisī bhī muddē kē sambandha mēṁ ēka saba diggajōṁ kē li'ē ēka bindu samparka kē rūpa mēṁ kiyā gayā hai ējī śākhā mēṁ sthāpita aura kaśmīra sabhā mēṁ kāryātmaka hai. Samparka vivaraṇa - 153, kaśmīra hā'usa, rājājī mārga, na'ī dillī 110011.
Īmēla: Armyveteranscell@gmail.Com yā armyveterans-cell@nic.In
Ṭōla phrī nambara (Toll Free Number): 6644 1800 11.
Kisī samparka mēṁ kisī bhī muddē para unakē sātha, mila sakatī hai.
Related Reading
No comments:
Post a Comment